Aziz Lakhnavi

kaam duniya mein bahut karna hai

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
kaam duniyā meñ bahut karnā hai
qabl marne ke hameñ marnā hai
aa.iye naza.a kā hañgām hai ab
mashvara aap se kuchh karnā hai
dil ne ye kah ke kahīñ chhoḌā saath
ham ko kuchh kaam yahāñ karnā hai
qatl karne meñ takalluf na karo
āḳhir ik roz hameñ marnā hai
tum se ik roz kareñge taqrīr
apnī bātoñ meñ asar bharnā hai
tum ko dikhlā.eñge dil kī tasvīr
jā-ba-jā rañg abhī bharnā hai
rok lo girya-e-ḳhūnīñ ko 'azīz'
dil kā nāsūr abhī bharnā hai
Top Urdushayar.com