Aziz Lakhnavi

jam Khaali jahan nazar aaya

Aziz Lakhnavi

Lucknow, Uttar pradesh, India

1882-1935
jaam ḳhālī jahāñ nazar aayā
merī āñkhoñ meñ ḳhuuñ utar aayā
vo bahut kam kisī ne dekhā hai
mujh ko jo kuchh yahāñ nazar aayā
jhuk ga.e āsmān sajde meñ
kaun ye apne baam par aayā
kaañp uThā charḳh hil ga.ī duniyā
vo jahāñ apnī baat par aayā
us ne pūchhā mizāj kaisā hai
dil jo umDā huā thā bhar aayā
jab kabhī us ne kī nazar mujh par
ek chhālā nayā ubhar aayā
terī jānib se hoshiyār gayā
apnī jānib se be-ḳhabar aayā
jab kiyā qasd-e-zabt-e-āh 'azīz'
dil meñ chhālā sā ik ubhar aayā
Top Urdushayar.com