na jaane kaun sā manzar nazar se guzrā thā
ki muddatoñ koī sauda-e-sar se guzrā thā
phir is ke ba.ad anā kā shikār ho baiThā
maiñ ek baar tirī rah-guzar se guzrā thā
basī huī hai mahak tere pairahan jaisī
abhī abhī koī jhoñkā udhar se guzrā thā
guzar sakā na tire zabt ke hisār se jo
vo sail-e-ġham bhī mirī chashm-e-tar se guzrā thā
thake thake se vo baazū vo fat.h-mand āñkheñ
safar tavīl koī bāl-o-par se guzrā thā
maiñ naqd-e-jāñ liye baiThā rahā magar 'raunaq'
na jaane dushman-e-jānī kidhar se guzrā thā