ye to sochā hī nahīñ us ko judā karte hue
chun liyā hai ġham bhī ḳhushiyoñ ko rihā karte hue
jin charāġhoñ par bharosa thā unhoñ ne āḳhirash
sāzisheñ kar liiñ havāoñ se daġhā karte hue
aañkh ke sandūqche meñ band hai ik sail-e-dard
Dar rahī huuñ qufl un palkoñ ke vā karte hue
jāntī thī kab bhaTaktī hī rahegī dar-ba-dar
ham-safar apnā sahāboñ ko ghaTā karte hue
dost ko pahchāntī thiiñ āñkheñ na dushman koī
phoḌ Daalā hai unheñ apnī sazā karte hue