ye apne aap pe tāzīr kar rahī huuñ maiñ
ki apnī soch ko zanjīr kar rahī huuñ maiñ
havāoñ se bhī nibhānī hai dostī mujh ko
diye kā lafz bhī tahrīr kar rahī huuñ maiñ
na jaane kab se badan the adhūre ḳhvāboñ ke
tumhārī aañkh meñ tābīr kar rahī huuñ maiñ
darīcha khole hue rañg aur ḳhushbū kā
suhānī-shām ko tasvīr kar rahī huuñ maiñ
duā.eñ maañg rahī huuñ havā rahe jāhil
gharonda ret pe tāmīr kar rahī huuñ maiñ
vo muntazir hai mirā kab se ḳhud pe raat oḌhe
'shabānā' sub.h sī tāḳhīr kar rahī huuñ maiñ