ik mahakte gulāb jaisā hai
ḳhūb-sūrat se ḳhvāb jaisā hai
maiñ use paḌhtī huuñ mohabbat se
us kā chehra kitāb jaisā hai
be-yaqīnī hī be-yaqīnī hai
har samundar sarāb jaisā hai
maiñ bhaTaktī huuñ kyuuñ andheroñ meñ
vo agar āftāb jaisā hai
Dūbtī jaa.e ziist kī naav
hijr lamha chanāb jaisā hai
maiñ haqā.eq bayān kar dūñgī
ye gunah bhī savāb jaisā hai
chain miltā hai us se mil ke magar
chain bhī iztirāb jaisā hai
ab 'shabānā' mire liye vo shaḳhs
ek bhūle nisāb jaisā hai