Shabana Yousaf

usi ke qurb mein rah kar hari bhari hui hai

Shabana Yousaf

usī ke qurb meñ rah kar harī bharī huī hai

sahāre peḌ ke ye bel jo khaḌī huī hai

abhī se chhoTī huī rahī haiñ dīvāreñ

abhī to beTī zarā mirī baḌī huī hai

banā ke ghoñsla chiḌiyā shajar bāñhoñ meñ

na jaane kis liye āñdhī se Darī huī hai

abhī to pahle safar thakan hai paañv meñ

ki phir se juutī pe juutī mirī paḌī huī hai

na.ī rutoñ ke muqaddas bulāve to haiñ magar

salīb vādoñ jo rah meñ ik gaḌī huī hai

maiñ haath bāñdhe hue lauT aa.ī huuñ ghar meñ

ki mere pars meñ ik aarzū marī huī hai

agar bichhaḌne us se koī malāl nahīñ

'shabānā' ashk se phir aañkh kyuuñ bharī huī hai

Top Urdushayar.com