raushnī ban ke sitāroñ meñ ravāñ rahte haiñ
jism-e-aflāk meñ ham sūrat-e-jāñ rahte haiñ
haiñ dil-e-dahr meñ ham sūrat-e-ummīd-e-nihāñ
misl-e-īmāñ ruḳh-e-hastī pe ayaañ rahte haiñ
jo na DhūñDo to hamārā koī maskan hī nahīñ
aur dekho to qarīb rag-e-jāñ rahte haiñ
har-nafas karte haiñ ik-tarfa tamāshā paidā
ham sar-e-dār bhī taz.īñ jahāñ rahte haiñ
aur bhī ahl-e-nazar haiñ kabhī dekho to sahī
ham bhī is shahar meñ ai kam-nazrāñ rahte haiñ
dil kī dhaḌkan se milā un kā pata kuchh ham ko
kis ko ma.alūm thā varna vo kahāñ rahte haiñ
vus.at-e-dasht nahīñ raas chaman-zādoñ ko
ham tire shahar kī jānib nigarāñ rahte haiñ
ashk girte haiñ to kuchh dil ko sakūñ miltā hai
haa.e vo log jo mahrūm-e-fuġhāñ rahte haiñ
zindagī-bhar kā hai ahbāb se is dasht meñ saath
misl-e-jāñ rahte haiñ ham 'arsh' jahāñ rahte haiñ