ġham kī garmī se dil pighalte rahe
tajrabe āñsuoñ meñ Dhalte rahe
ek lamhe ko tum mile the magar
umr bhar dil ko ham masalte rahe
sub.h ke Dar se aañkh lag na sakī
raat bhar karvaTeñ badalte rahe
zahr thā zindagī ke kuuze meñ
jānte the magar nigalte rahe
dil rahā sarḳhushī se begāna
garche armāñ bahut nikalte rahe
apnā azm-e-safar na thā apnā
hukm miltā rahā to chalte rahe
zindagī sarḳhushī junūñ vahshat
maut ke naam kyuuñ badalte rahe
ho ga.e jin pe kārvāñ pāmāl
sab unhī rāstoñ pe chalte rahe
dil hī gar bā.is-e-halākat thā
ruḳh havāoñ ke kyuuñ badalte rahe
ho ga.e ḳhāmushī se ham ruḳhsat
saare ahbāb haath malte rahe
har ḳhushī 'arsh' vaj.h-e-dard banī
farsh-e-shabnam pe paañv jalte rahe