ham kabhī chashm-e-zamāna meñ na pinhāñ hoñge
ham har ik daur meñ har dil meñ numāyāñ hoñge
dard ban kar nafas-e-jāñ meñ samā jā.eñge
soz ban kar haram-e-dil meñ farozāñ hoñge
ham ḳhizāñ ho ke bhī haiñ raunaq-e-bazm-e-ālam
ham na hoñge to kahāñ jashn-e-bahārāñ hoñge
ham jaleñge ki tire naam kī lo raushan ho
ham ba-har-rañg tirī ziist kā sāmāñ hoñge
sozish-e-dard meñ hai 'arsh' qayāmat pinhāñ
vo bhī kyā hoñge jo is dard kā darmāñ hoñge