hisār-e-dil se udhar bhī haqīqateñ haiñ bahut
tire baġhair bhī jiine kī sūrateñ haiñ haiñ
tire ġhurūr ko ham se shikāyateñ haiñ bajā
ham aadmī haiñ hameñ past ādateñ haiñ bahut
jo terī tarz-e-jafā se hamārā haal huā
zabāñ pe laa.eñ ye us meñ qabāhateñ haiñ bahut
agar hai bā.is-e-vahshat tujhe hamārā junūñ
hameñ bhī terī adā se shikāyateñ haiñ bahut
ġhalat ki milne meñ hai fāsle kā ḳhauf tujhe
ki āj-kal to safar meñ sahūlateñ haiñ bahut
mujhe to chhoḌ gayā raah meñ to Thiik huā
ki pā-shikasta thā maiñ aur masāfateñ haiñ bahut
zabān khol ke is bazm meñ ḳharāb hue
savāl ek thā lekin vazāhateñ haiñ bahut
kise suneñ to kareñ kis se ham gurez ki yaañ
har ik zabāñ pe ġhamoñ kī hikāyateñ haiñ bahut
hameñ azāb-e-qayāmat kā koī ḳhauf nahīñ
ki is se baḌh ke jahāñ meñ qayāmateñ haiñ bahut
mile ye log to kyuuñ aur log kyuuñ na mile
javāb koī nahīñ hai bujhārteñ haiñ bahut
nahīñ hai aaj kī tanhā.iyoñ se haul hameñ
ki dil pe naqsh javānī kī sūrateñ haiñ bahut
kis ehtiyāt se ai 'arsh' us ko sarf kareñ
matā-e-umr hai kam aur chāhateñ haiñ bahut