itnī havā na vā.iz-e-dīñ-dār bāñdhiye
izzat sañbāliye sar-e-dastār bāñdhiye
gum kījiye havās ko tafsīr-e-hosh meñ
dānish ko jahl jahl ko pindār bāñdhiye
mahrūm-e-hosh soiye par diije dād-e-hosh
gul ko giyāh dasht ko gulzār bāñdhiye
bū chhīniye guloñ se ki dete haiñ zauq-e-fan
yuuñ ḳhush-navā tuyūr kī chahkār bāñdhiye
ab juz havā nahīñ hai girah meñ hamārī ḳhaak
sau baar kholiye use sau baar bāñdhiye
bhaḌkī hai aag 'arsh' ḳhayābān-e-bazm meñ
hadd-e-jalāl-e-sho.ala-e-guftār bāñdhiye