Arsh Siddiqui

aankhon mein kahin uske bhi tufan to nahin tha

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
āñkhoñ meñ kahīñ us ke bhī tūfāñ to nahīñ thā
vo mujh se judā ho ke pashemāñ to nahīñ thā
kyuuñ mujh se na kī us ne sar-e-bazm koī baat
maiñ sañg-e-malāmat se gurezāñ to nahīñ thā
haañ harf-e-tasallī ke liye thā maiñ pareshāñ
pahlū meñ mire dil thā kuhistāñ to nahīñ thā
kyuuñ rāsta dekhā kiyā us kā maiñ sar-e-shām
be-dard kā mujh se koī paimāñ to nahīñ thā
jalva thā tirā aag meñ har lahza huvaidā
varna mujhe jal marne kā armāñ to nahīñ thā
thā dil bhī kabhī shahr-e-tamannā se mumāsil
ye qarya hamesha se bayābāñ to nahīñ thā
tūfān-e-alam kyuuñ mujhe sāhil pe utārā
maiñ shor-e-talātum se hirāsāñ to nahīñ thā
rakkhā thā chhupā kar jise alfāz meñ maiñ ne
parde meñ suḳhan ke bhī vo uryāñ to nahīñ thā
kahte haiñ ki hai 'arsh' nigūñ paa.e nabī par
aisā vo koī sāhab-e-īmāñ to nahīñ thā
Top Urdushayar.com