Arsh Siddiqui

phir usi shahr ka fasana chheD

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
phir usī shahr kā fasāna chheḌ
mutriba tarz-e-āshiqāna chheḌ
sāz-e-dil se uThā thā jo ik baar
phir vahī raag vālihāna chheḌ
ghar hai tārīk yūrish-e-ġham se
aaj ik ātishīñ tarāna chheḌ
phir jahāñ dilkashī se hai mahrūm
zulf-e-hastī ko misl-e-shāna chheḌ
bazm ḳhauf-e-fanā se hai be-dam
kuchh ba-andāz-e-jāvedāna chheḌ
aaj har shai se bad-gumāñ haiñ ham
mat hameñ ai ġham-e-zamāna chheḌ
ai ġham-e-yār ham haiñ ḳhākistar
aur mat ai rafīq-e-ḳhāna chheḌ
'arsh' thī har sukūñ kī jo rahzan
us qayāmat kā phir fasāna chheḌ
Top Urdushayar.com