gulshan kā sanā-ḳhvāñ huuñ bayābāñ meñ paḌā huuñ
taa.ir huuñ magar gosha-e-zindāñ meñ paḌā huuñ
huuñ muntazir-e-qāfila-e-misr-e-tamannā
yūsuf huuñ abhī chāh-e-bayābāñ meñ paḌā huuñ
miltā nahīñ bāzār se pairāhan-e-yūsuf
yāqūb huuñ tārīkī-e-kan.āñ meñ paḌā huuñ
āñkhoñ pe hai ik manzar-e-kam-dīda kā parda
maiñ kab se tirī yaad ke zindāñ meñ paḌā huuñ
tū hai ki mujhe duur se kartā hai ishāre
maiñ huuñ ki rah-e-husn-e-gurezāñ meñ paḌā huuñ
maanā ki nahīñ 'arsh' koī gosh-bar-āvāz
kyā kam hai ki maiñ kūcha-e-jānāñ meñ paḌā huuñ