thā bahut be-dard lekin hausla detā rahā
vo mujhe har shab na.e ghar kā pata detā rahā
maiñ use DhūñDā kiyā jismoñ kī jannat meñ magar
vo mujhe ḳhvāboñ meñ milne kī sazā detā rahā
kab use rukne kī fursat thī ġhurūr-e-husn meñ
maiñ ta.āqub meñ ravāñ thā maiñ sadā detā rahā
jal rahā thā ḳhud hī be-mā.egī kī aag meñ
maiñ isī dāman se sho.aloñ ko havā detā rahā
garche mohlik thā magar insāf kī ummīd par
muddatoñ ik zaḳhm qātil ko sadā detā rahā
maiñ to is kī justujū meñ thā guzar aayā magar
dasht-e-māzī der tak bū-e-vafā detā rahā
sab se pīchhe rah gayā huuñ 'arsh' yuuñ is dasht meñ
maiñ safar meñ har kisī ko rāsta detā rahā