tābinda husn-e-rāz-e-bahārāñ hamīñ se hai
nazm-e-ḳhizāñ jo hai to hirāsāñ hamīñ se hai
apne lahū kā rañg milā hai bahār meñ
laala misāl-e-shola-e-raqsāñ hamīñ se hai
jaltā hai apnā ḳhuuñ hī sar-e-bazm rāt-bhar
ai husn-e-be-ḳhabar ye charāġhāñ hamīñ se hai
ham aaj shahr-e-yār ke ma.atūb haiñ to kyā
har-dam vo apne shahr meñ tarsāñ hamīñ se hai
rakkhī hai ham ne apnī zabāñ par vafā kī teġh
nām-e-nikū-e-yār pur-afshāñ hamīñ se hai
har-rañg meñ rahe hamīñ sar-chashma-e-hayāt
hai kā.enāt ham se to yazdāñ hamīñ se hai
marhūn-e-shuq bāda-gusārāñ hai daur-e-jām
miinā huzūr-e-yār ġhazal-ḳhvāñ hamīñ se hai
shohrā tirā gayā mire naġhmoñ ke saath saath
aalam ko terī diid kā armāñ hamīñ se hai
āñkhoñ meñ 'arsh' dard ne bhaḌkā.e haiñ kañval
āb-e-ravāñ meñ ātish-e-sozāñ hamīñ se hai