Arsh Siddiqui

uTha jo dast-e-sitam qatl-e-be-nawa ke liye

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
uThā jo dast-e-sitam qatl-e-be-navā ke liye
nigāh-e-shauq ne bose har ik adā ke liye
mahak hai tere shabistāñ kī bū-e-zulf-e-sabā
chalī hai bād-e-sabā ik shikasta-pā ke liye
suno ki dil ko mire e.atibār-e-zīst nahīñ
rukā huuñ ek nafas arz-e-mudda.ā ke liye
mire ḳhayāl ne pahnā libās-e-harf-o-nidā
sarīr-e-ḳhāma hai raqsāñ mirī navā ke liye
dayār-e-dil to huā vaqf-e-āhuvān-e-javāñ
ab aur koī banā.eñge ghar ḳhudā ke liye
mire ḳhayāl ko qaid-e-makāñ qubūl nahīñ
hudūd-e-bahr-o-bayābāñ nahīñ havā ke liye
rahī nazar meñ hamāre urūs-e-shauq-e-mudām
fanā-e-zīst rahe ziist kī baqā ke liye
kise batā.eñ ki ham ne pilā ke ḳhūn-e-jigar
chaman meñ phuul khilā.e tirī qabā ke liye
ḳhayāl-o-rañg-o-nuqūsh-o-hurūf-o-lauh-o-qalam
bichhe haiñ daam jamāl-e-gurez-pā ke liye
Top Urdushayar.com