dard ko ham zindagī kā kaif-o-kam kahte rahe
ḳhāmushī ke saaz par rūdād-e-ġham kahte rahe
gosh-bar-āvāz puurī bazm meñ koī na thā
dāstān-e-ārzū kahne ko ham kahte rahe
intihā-e-yās meñ chalte rahe be-mudda.ā
dekhne vaale hameñ sābit-qadam kahte rahe
dil fareb-e-zindagī meñ be-tarah uljhā rahā
ishq ko āzād patthar ko sanam kahte rahe
kam-savādoñ ko masīhā nā-ḳhudāoñ ko ḳhudā
buud ko nābūd hastī ko adam kahte rahe
apne ḳhuuñ se dāstān-e-ġham raqam karte rahe
lauh-e-dil ko nok-e-ḳhanjar ko qalam kahte rahe
aarzū ke kitne but-ḳhāne the is dil meñ nihāñ
'arsh' jis dil ko sabhī tāq-e-haram kahte rahe