phir hunar-mandoñ ke ghar se be-hunar jaatā huuñ maiñ
tum ḳhabar be-zār ho ahl-e-nazar jaatā huuñ maiñ
jeb meñ rakh lī haiñ kyuuñ tum ne zabāneñ kaaT kar
kis se ab ye ajnabī pūchhe kidhar jaatā huuñ maiñ
haañ maiñ saaya huuñ kisī shai kā magar ye bhī to dekh
gar ta.āqub meñ na ho sūraj to mar jaatā huuñ maiñ
haath āñkhoñ se uThā kar dekh mujh se kuchh na pūchh
kyuuñ ufuq par phailtī sub.hoñ se Dar jaatā huuñ maiñ
bas yūñhī tanhā rahūñgā is safar meñ umr bhar
jis taraf koī nahīñ jaatā udhar jaatā huuñ maiñ
ḳhauf kī ye intihā sadiyoñ se āñkheñ band haiñ
shauq kī ye ablahī be-bāl-o-par jaatā huuñ maiñ
'arsh' rasmoñ kī panah-gāheñ bhī ab sar par nahīñ
aur vahshī rāstoñ par be-sipar jaatā huuñ maiñ