azāb-e-be-dili-e-jān-e-mubtalā na gayā
jo sar pe baar thā andesha-e-sazā na gayā
ḳhamosh ham bhī nahīñ the huzūr-e-yār magar
jo kahnā chāhte the bas vahī kahā na gayā
palaT ke dekhne kī ab to aarzū bhī nahīñ
thī āshiqī hameñ jab ḳhūb, vo zamāna gayā
rahe musir ki uThā deñ vo anjuman se hameñ
ham uThnā chāhte bhī the magar uThā na gayā
hamāre naam se jab zikr-e-bevafā.ī chalā
junūñ meñ bol paḌe ham se bhī rahā na gayā
hamārā qissa-e-ġham biich meñ vo chhoḌ uTThe
unhī kī zid thī magar un hī se sunā na gayā
zamāne bhar ne kahā 'arsh' jo, ḳhushī se sahā
par ek lafz jo us ne kahā sahā na gayā