dil ḳhuuñ hai dil kā haal raqam ho to kis tarah
dil se qalam kā fāsla kam ho to kis tarah
dil hai kahīñ dimāġh kahīñ aur ham kahīñ
shīrāza-e-hayāt baham ho to kis tarah
kyuuñ kaheñ ki dard nahīñ hāsil-e-hayāt
pesh-e-nazar jo hai vo adam ho to kis tarah
dil se zabāñ zabāñ se chhanī tāqat-e-suḳhan
maa.il idhar mizāj-e-sanam ho to kis tarah
dilkash bahut hai tark-e-ta.alluq kā mashvara
ḳhud par magar ye turfa-sitam ho to kis tarah
maiñ aur mere gard ye tanhā.ī-e-saqar
ai dil ilāj-e-soz-e-alam ho to kis tarah
kyuuñ zid hai shahr-e-yār ko ai 'arsh' is qadar
ye sar ki vaqf-e-dār hai ḳham ho to kis tarah