ham had-e-indimāl se bhī ga.e
ab fareb-e-ḳhayāl se bhī ga.e
dil pe taalā zabān par pahrā
yaanī ab arz-e-hāl se bhī ga.e
jām-e-jam kī talāsh le Duubī
apne jām-e-sifāl se bhī ga.e
ḳhauf-e-kam-mā.egī burā ho tirā
ārzū-e-visāl se bhī ga.e
shorish-e-zindagī tamām huī
gardish-e-māh-o-sāl se bhī ga.e
yuuñ miTe ham ki ab zavāl nahīñ
shauq-e-auj-e-kamāl se bhī ga.e
ham ne chāhā thā terī chaal chaleñ
haa.e ham apnī chaal se bhī ga.e
husn-e-fardā ḳhayāl-o-ḳhvāb rahā
aur maazī o haal se bhī ga.e
ham tahī-dast vaqf-e-ġham haiñ vahī
tañg-nā-e-savāl se bhī ga.e
sajda bhī 'arsh' un ko kar dekhā
is rah-e-pā.emāl se bhī ga.e