Arsh Siddiqui

didani ab safar-e-zist ka manzar hoga

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
dīdanī ab safar-e-zīst kā manzar hogā
jis ne luuTā sar-e-bāzār vo rahbar hogā
hāl-e-dil kah ke hue aur giraftār-e-alam
ham na kahte the ki yuuñ dard fuzūñ-tar hogā
jīte-jī ham se kabhī harf-e-vafā kah Daalo
phir ye hogā bhī jo ehsān to kis par hogā
tū mirī jur.at-e-guftār par hairāñ kyuuñ hai
ye tamāshā tirī sarkār meñ aksar hogā
un kī āñkhoñ meñ chamakte hue taare dekhe
ab to nāseh bhī pashemān barābar hogā
ham bhī ab 'arsh' nayā bāb-e-vafā kholeñge
shahpar-e-shauq mah-o-mehr kā ham-sar hogā
Top Urdushayar.com