sañg-e-dar us kā har ik dar pe lagā miltā hai
dil ko āvāra-mizājī kā mazā miltā hai
jo bhī gul hai vo kisī pairhan-e-gul par hai
jo bhī kāñTā hai kisī dil meñ chubhā miltā hai
shauq vo daam ki jo ruḳhsat-e-parvāz na de
dil vo taa.ir ki use yuuñ bhī mazā miltā hai
vo jo baiThe haiñ bane nāseh-e-mushfiq sar par
koī pūchhe to bhalā aap ko kyā miltā hai
ham ki māyūs nahīñ haiñ unheñ pā hī leñge
log kahte haiñ ki DhūñDe se ḳhudā miltā hai
dām-e-tazvīr na ho shauq gulū-gīr na ho
mai-kada 'arsh' hameñ aaj khulā miltā hai