Arsh Siddiqui

hairan hun ki ye kaun sa dastur-e-wafa hai

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
hairāñ huuñ ki ye kaun sā dastūr-e-vafā hai
tū misl-e-rag-e-jāñ hai to kyuuñ mujh se judā hai
tū ahl-e-nazar hai to nahīñ tujh ko ḳhabar kyuuñ
pahlū meñ tire koī zamāne se khaḌā hai
likkhā hai mirā naam samundar pe havā ne
aur dono kī fitrat meñ sukūñ hai na vafā hai
maiñ shahr-o-bayābāñ meñ tujhe DhūñDh chukā huuñ
be-dard tū kis hajla-pinhāñ meñ chhupā hai
ham rakhte haiñ da.avā ki hai qaabū hameñ dil par
tū sāmne aa jaa.e to ye baat judā hai
maiñ dozaḳh-e-jāñ meñ bhī rahā mahv-e-tag-o-tāz
ai ḳhāliq-e-aflāq tujhe to ye patā hai
ġham hai ki musalsal usī shiddat se hai jaarī
yuuñ kahne ko is umr kā har lamha nayā hai
har samt havā tez fazā tā-ba-ufuq tañg
dil zarra-e-sahrā hai bagūloñ meñ ghirā hai
kyuuñ jaage hue shahr meñ tanhā hai har ik shaḳhs
ye raushnī kaisī hai ki saaya bhī judā hai
ai dāvar-e-mahshar tujhe ḳhud terī qasam hai
insāf se kah dil kabhī terā bhī phaTā hai
mahsūs kiyā hai kabhī tū ne bhī vo ḳhanjar
ġham ban ke jo har shaḳhs ke siine meñ gaḌā hai
Thahrā.e use 'arsh' koī kaise jafā-kesh
jo mujh se alag rah ke bhī hamrāh chalā hai
Top Urdushayar.com