Arsh Siddiqui

main aalam-e-imkan mein jise DhunDh raha hun

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
maiñ ālam-e-imkāñ meñ jise DhūñDh rahā huuñ
vo pūchh rahā hai ki kise DhūñDh rahā huuñ
maazī ke bayābāñ meñ jo gum ho gayā mujh se
maiñ haal ke jañgal meñ use DhūñDh rahā huuñ
go pesh-e-nazar ek tamāsha hai va-lekin
ai vaj.h-e-tamāsha maiñ tujhe DhūñDh rahā huuñ
tū haath jo aatā nahīñ is kā hai sabab kyā
shāyad maiñ tujhe tujh se pare DhūñDh rahā huuñ
chhīnā thā jise sub.h-e-gurezāñ kī chamak ne
us lamhe ko ab shaam Dhale DhūñDh rahā huuñ
har ik se jo kahtā hoñ kahīñ 'arsh' ko DhūñDo
kyuuñ apne bahāne maiñ use DhūñDh rahā huuñ
Top Urdushayar.com