Arsh Siddiqui

bas ek hi kaifiyyat-e-dil subh-o-masa hai

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
bas ek hī kaifiyyat-e-dil sub.h-o-masā hai
har lamha mirī umr kā zanjīr-ba-pā hai
maiñ shahr ko kahtā hoñ bayābāñ ki yahāñ bhī
saaya tirī dīvār kā kab sar pe paḌā hai
hai vaqt ki kahtā hai rukuñgā na maiñ ik pal
tū hai ki abhī baat mirī tol rahā hai
maiñ bazm se ḳhākistar-e-dil le ke chalā huuñ
aur sāmne tanhā.ī ke sahrā kī havā hai
āvāz kā tesha hai na ḳhāmosh takallum
taalā jo zabāñ par thā vo ab dil pe paḌā hai
maiñ saath liye phirtā huuñ sāmān-e-halākat
rag rag meñ mirī zahr-e-vafā dauḌ rahā hai
kyā kyā haiñ tamannā.eñ dil-e-ḳhāk-basar meñ
ye qāfila vīrāne meñ kyuuñ Thahrā huā hai
Top Urdushayar.com