Arsh Siddiqui

manzil-e-marg mein jine ki ada rakhta hun

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
manzil-e-marg meñ jiine kī adā rakhtā huuñ
ya.anī har haal meñ andāz judā rakhtā huuñ
juz havā koī nahīñ mūnis-o-ġham-ḳhvār magar
rāt-bhar kamre kā darvāza khulā rakhtā huuñ
apnī fitrat ko sikhātā huuñ ġhulāmī terī
mauj-e-āzād ko zanjīr-ba-pā rakhtā huuñ
gum huuñ qatre kī tarah vaqt ke dariyā meñ magar
apnī hastī kā tilismāt judā rakhtā huuñ
zer-e-pā haiñ mire sahrāoñ ke jalte maidāñ
sar pe ālām ke sho.aloñ kī ridā rakhtā huuñ
bahr-e-āzār bhī hai hadd-e-nazar tak raqsāñ
jazba-e-shauq agar had se sivā rakhtā huuñ
merī fariyād pe kab bāb-e-ināyāt khulā
haa.e kis muñh se kahūñ maiñ bhī ḳhudā rakhtā huuñ
ġham na kar tū hai agar ḳhū-e-ḳharābī kā asiir
maiñ bhī ālām se paimān-e-vafā rakhtā huuñ
kyuuñ nahīñ aks-e-abad meñ bhī samundar jaisā
naqsh-bar-āb huuñ ḳhāliq se gilā rakhtā huuñ
'arsh' maiñ ḳhud huuñ sadā apne sukūñ kā dushman
dasht-e-ummīd bhī bar-dosh-e-havā rakhtā huuñ
Top Urdushayar.com