khulī fazā kā ubhartā nahīñ samāñ ghar meñ
nahīñ banāte parinde ab āshiyāñ ghar meñ
jo chal rahī thiiñ to dahkā kiye dar-o-dīvār
rukīñ havā.eñ to bharne lagā dhuāñ ghar meñ
saje haiñ farsh lahū se to dar azāboñ se
ugī haiñ saḳht zamīnoñ kī khetiyāñ ghar meñ
sukūñ kī shakl ho paidā koī to kaise ho
yaqīñ hai sarhad-e-jāñ se pare gumāñ ghar meñ
ajiib taur se badle haiñ mausamoñ ne chalan
bahār dasht meñ rahtī hai aur ḳhizāñ ghar meñ
ulaT ga.e haiñ qarābat ke zābte saare
sabā.eñ qabr pe chaltī haiñ āñdhiyāñ ghar meñ
use hī maan liyā ham ne baḳht kā maavā
bajā rahā thā jo aaseb sīTiyāñ ghar meñ
nahīñ vo aañkh ki ham dushmanoñ ko pahchāneñ
dabā.e baiThe haiñ apnoñ kī haDDiyāñ ghar meñ
ibādatoñ ne bhī DhūñDe haiñ ab na.e maskan
namāz hone lagī dasht meñ azaañ ghar meñ
uThā ke sar kabhī nikle to ye na yaad rahā
ki chhoḌ aa.e haiñ aabā kī pagḌiyāñ ghar meñ
milā hai baaz adālat kā dar pe kyā kiije
paḌī hai ḳhauf se sahmī huī zabāñ ghar meñ
subūt-e-be-gahnī rah gayā ḳhayāloñ meñ
rakhā safā.ī kā yāroñ ne har bayāñ ghar meñ
hai 'arsh' aaj to fitrat bhī ham-rakāb-e-qazā
ghaTā.eñ auj-e-falak par haiñ bijliyāñ ghar meñ