Arsh Siddiqui

aah bargah-e-husn mein jalwon ka asar dekh

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
aah bārgah-e-husn meñ jalvoñ kā asar dekh
had se na guzar zabt meñ ai zabt-e-nazar dekh
mat pūchh ki kyā guzrī dil-sho.ala-sifat par
is dast-e-hinā.ī meñ mirā dāman-e-tar dekh
tū us kā tamannā.ī hai mat Dar dil-e-nādāñ
ummīd nahīñ phir bhī vo kahtā hai to mar dekh
ye shahr hai yā ḳhema hai dushman kā sipah kā
āvāz ke zaḳhmoñ se lahū hai mirā sar dekh
kyuuñ bahr-e-ḳhamoshī meñ hai tū misl-e-sadā tañg
hasrat koī baaqī hai to ik baar ubhar dekh
shāyad tire hisse meñ ho motī kā muqaddar
ai qatra-e-jāñ aaj samundar meñ utar dekh
kyuuñ paañv pasāre tū paḌā hai sar-e-rāhe
kyā saḳht safar hai zarā saa.e se idhar dekh
shāyad ho idhar 'arsh' koī chashma-e-haivāñ
ik baar tū hastī ke bayābāñ se guzar dekh
Top Urdushayar.com