āñkhoñ meñ kahīñ us kī bhī tūfāñ to nahīñ thā
vo mujh se judā ho ke pashemāñ to nahīñ thā
kyuuñ us ne na kī mujh se sar-e-bazm koī baat
maiñ sañg-e-malāmat se gurezāñ to nahīñ thā
kyuuñ rāsta dekhā kiyā us kā maiñ sar-e-shām
be-dard kā mujh se koī paimāñ to nahīñ thā
thī aag bhī terī hī tarah hosh kī dushman
varna mujhe jal marne kā armāñ to nahīñ thā
thā dil bhī kabhī shahr-e-tamannā meñ mumāsil
ye qarya hamesha se bayābāñ to nahīñ thā
kyuuñ us ne mujhe azmat-e-qur.āñ kī qasam dī
vo rahzan-e-īmān musalmāñ to nahīñ thā
kyuuñ mujh se tavaqqo.a thī use jāh-o-hasham kī
maiñ banda-e-nādār sulaimāñ to nahīñ thā
tūfān-e-alam kyuuñ mujhe sāhil pe utārā
maiñ shor-e-talātum se hirāsāñ to nahīñ thā
shab-bhar mirī palkoñ meñ damakte rahe taare
kal raat yahāñ jashn-e-charāġhāñ to nahīñ thā
kahte haiñ ki hai 'arsh' nigūñ pā-e-nabī par
aisā vo koī sāhab-e-īmāñ to nahīñ thā