Arsh Siddiqui

manus ho gae hain andhe purane ghar se

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
mānūs ho ga.e haiñ andhe purāne ghar se
bāhar nahīñ nikalte ham raushnī ke Dar se
saa.e kī aarzū meñ lipTe hue haiñ ham sab
sunsān rāste meñ ātish-zada shajar se
ham ḳhaak ho ke bhī har mauj-e-havā se uljhe
ya.anī tirī vafā kā saudā gayā na sar se
kyā kyā na gul khileñge kyā kyā na jashn hoñge
is kisht-e-ārzū meñ bādal kabhī jo barse
tere huzūr the ham apnī nazar se ojhal
ḳhud ko bhī aaj dekhā gir kar tirī nazar se
ab tak hameñ gumāñ hai sahrā pe gulistāñ kā
ik baar be-irāda guzrā thā vo udhar se
kyuuñ mutma.in khaḌe ho āsūdgān-e-sāhil
dariyā kā zor dekho gahrā.ī meñ utar ke
dil kā sukūñ luTā to sar kyuuñ rahā salāmat
kyuuñ zinda lauT aa.e ham 'arsh' us ke dar se
Top Urdushayar.com