ham ki ḳhāmosh hue ahl-e-bayāñ dekhte haiñ
raaz andāz-e-takallum se ayaañ dekhte haiñ
jān-levā hai fareb-e-rah-e-gulzār-talab
nashtar-e-shauq qarīb-e-rag-e-jāñ dekhte haiñ
hai usī ghar meñ kahīñ gauhar-e-ummīd nihāñ
sū-e-vīrāna-e-dil bahr-e-amāñ dekhte haiñ
kaise bantā hai lahū surḳhī-e-afsāna-e-dil
kaise bantā hai qalam nok-e-sināñ dekhte haiñ
ātish-e-shauq ko rakhte haiñ ba-har-taur javāñ
ḳhāk-e-gulshan meñ zar-e-gul ke nishāñ dekhte haiñ
ḳhashmagīñ aaj vo yuuñ haiñ ki nahīñ tāb-e-suḳhan
'arsh' ham aaj tirā zor-e-bayāñ dekhte haiñ