dil ki ārā.ish-e-ālam kā tamāshā dekhe
gar kabhī ḳhud pe nazar jaa.e to sahrā dekhe
aañkh vo aañkh jo har qatre meñ dariyā dekhe
tū magar sāmne aa jaa.e to phir kyā dekhe
ḳhvāb meñ ho to ye dil dekhe tirī diid ke ḳhvāb
ḳhvāb se jaage to ik ḳhvāb sī duniyā dekhe
jo samajhtā hai ki khul jaatā hai fariyād se baḳht
sū-e-aflāk kabhī haath vo phailā dekhe
ibtilā meñ haiñ sabhī rāh-rav-e-manzil-e-shauq
kis ko fursat ki mire paañv kā kāñTā dekhe
'arsh' agar lafz-o-ma.ānī ke ho tum paiġhambar
ek tasvīr banā jaao ki duniyā dekhe