zanjīr se uThtī hai sadā sahmī huī sī
jaarī hai abhī gardish-e-pā sahmī huī sī
dil TuuT to jaatā hai pe girya nahīñ kartā
kyā Dar hai ki rahtī hai vafā sahmī huī sī
uTh jaa.e nazar bhuul ke gar jānib-e-aflāk
hoñToñ se nikaltī hai duā sahmī huī sī
haañ hañs lo rafīqo kabhī dekhī nahīñ tum ne
namnāk nigāhoñ meñ hayā sahmī huī sī
taqsīr koī ho to sazā umr kā ronā
miT jaa.eñ vafā meñ to jazā sahmī huī sī
haañ ham ne bhī paayā hai sila apne hunar kā
lafzoñ ke lifāfoñ meñ baqā sahmī huī sī
har luqme pe khaTkā hai kahīñ ye bhī na chhin jaa.e
mede meñ utartī hai ġhizā sahmī huī sī
uThtī to hai sau baar pe mujh tak nahīñ aatī
is shahr meñ chaltī hai havā sahmī huī sī
hai 'arsh' vahāñ aaj muhīt ek ḳhamoshī
jis raah se guzrī thī qazā sahmī huī sī