vo jis kī dāstāñ phailī dil-e-dīvāna merā thā
zabāneñ dushmanoñ kī thiiñ magar afsāna merā thā
taḌaptā huuñ ki ik sāġhar kisī hātim se mil jaa.e
zavāl-e-āsmāñ dekho kabhī mai-ḳhāna merā thā
balā kī ḳhāmushī taarī thī har-sū terī haibat se
sar-e-mahfil jo gūñjā nāra-e-mastāna merā thā
kaTe yuuñ to hazāroñ sar vafā kī karbalāoñ meñ
tire neze pe jo ubhrā sar-e-shāhāna merā thā
faqīh-e-shahr ko samjho ki ham pakḌe ga.e nāhaq
sharābeñ sab usī kī thiiñ bas ik paimāna merā thā
banā hai 'arsh' vo munsif to phir ye bhī kabhī dekhe
huā hai band jo mujh par vahī vīrāna merā thā