Arsh Siddiqui

josh-e-junun bhi gardish-e-dauran se kam na tha

Arsh Siddiqui

Gurdaspur, Punjab, India

1927-1997
josh-e-junūñ bhī gardish-e-daurāñ se kam na thā
dil thā to dasht-e-ġham bhī gulistāñ se kam na thā
rañgīnī-e-jamāl kī sarhad na thī koī
aur hausla bhī hīta-e-imkāñ se kam na thā
kyā kyā basī thiiñ sūrateñ dāmān-e-ḳhvāb meñ
dasht-e-ḳhayāl shahr-e-nigārāñ se kam na thā
har aarzū ko apnī nihāyat kī fikr thī
bāzār-e-shauq hashr ke maidāñ se kam na thā
sach hai junūñ kī raah meñ īmāñ gayā magar
pās-e-mizāj-e-yār bhī īmāñ se kam na thā
āvārgī ko vus.at-e-sahrā bhī kam rahī
dil ko jahān-e-shauq bhī zindāñ se kam na thā
ham ko na thī junūñ meñ tamīz-e-dimāġh-o-dil
dāman kā chaak chāk-e-garebāñ se kam na thā
apne liye thā bā.is-e-ābādī-e-nazar
be-sāḳhta gurez jo paimāñ se kam na thā
dekhā na ham ne yaañ bhī shajar koī sāya-dār
ya.anī dayār-e-ishq bayābāñ se kam na thā
mujrim nahīñ the phir bhī satā.e ga.e hamīñ
qaazī ba-zom-e-ḳhvesh sulaimāñ se kam na thā
rāhoñ meñ zindagī kī luTī sab matā-e-hosh
uljhāo un kā zulf-e-pareshāñ se kam na thā
dil par raqam thī ek se ik turfa dāstāñ
koī bhī zaḳhm 'arsh' dabistāñ se kam na thā
Top Urdushayar.com