bañdhā hai ahd-e-junūñ chashm-e-etibār ke saath
use kaho ki jiye azm-e-ustuvār ke saath
na ho sakī kabhī taufīq darguzar kī use
na chal sake kabhī ham ḳhud bhī eqtidār ke saath
faqīh-e-shahr se kahnā ki dil kushāda rakhe
milā hai mansab-e-a.alā jo iḳhtiyār ke saath
nishān-e-nāqa-e-lailā pahuñch se duur nahīñ
kabhī chalo to sahī do qadam ġhubār ke saath
tamām-umr rahā vo rahīn-e-minnat-e-ġhair
use to marnā bhī aayā nahīñ vaqār ke saath
azal se 'arsh' ik āvārgī nasīb meñ hai
havā-e-dasht ko nisbat nahīñ qarār ke saath