ham ghar hī meñ rahte to tamāshā to na hote
yuuñ kushta-e-be-dād-e-zamāna to na hote
ġham-e-dil pe shikast-e-talab-e-jāñ kā hai bhārī
miT jaate tag-o-tāz meñ paspā to na hote
kho jaate kisī bādiya-e-haft-balā meñ
ḳhilqat meñ magar rāñda-e-duniyā to na hote
duniyā se jo rakhte kabhī duniyā se ravābit
apne hī zamāne meñ yuuñ tanhā to na hote
ho rahte haram ke to jiye jaate sukūñ se
badnām-e-rah-e-dair-o-kalīsā to na hote
āvāra-mizājī kī sazā ḳhuub thī lekin
pā-basta-e-ḳhāk-e-lab-e-dariyā to na hote
jiite haiñ to sab khul ga.e ausāf jahāñ par
mar jaate to achchhā thā ki rusvā to na hote
ūñchā jo uThā rakhte alam apnī anā kā
a.alā na sahī arsh pe adnā to na hote