mujh ko mat chhūnā ki ris kar phūTne vaalā huuñ maiñ
tujh ko kyā ma.alūm tere tanz kā chhālā huuñ maiñ
aaj zehnoñ meñ huuñ lekin kal kā andesha huuñ maiñ
darmiyāñ donoñ ke gir kar TūTtā rishta huuñ maiñ
āḌī-tirchhī sī lakīreñ khīñchtā huuñ aur phir
us ko har manzar meñ rakh kar rañg bhar detā huuñ maiñ
vo to yuuñ ḳhush hai samajhtā hai ki maiñ tairāk huuñ
us ko kyā ma.alūm ḳhud hī Dūbne vaalā huuñ maiñ
apnī gul-poshī pe maiñ nādim bhī huuñ sarshār bhī
haar kar jiitā huuñ jaane jiit kar haarā huuñ maiñ