baiThā huuñ vaqf-e-mātam-e-hastī miTā huā
zahr-e-vafā hai ghar kī fazā meñ ghulā huā
ḳhud us ke paas jā.ūñ na us ko bulā.ūñ paas
paayā hai vo mizāj ki jiinā balā huā
us par ġhalat hai ishq meñ ilzām-e-dushmanī
qātil hai mere hajlā-e-jāñ meñ chhupā huā
haiñ jism-o-jāñ baham ye magar kis ko hai ḳhabar
kis kis jagah se dāman-e-dil hai silā huā
hai rāhvār-e-shauq pe āseb-e-be-dilī
rakkhā hai kab se sāmne sāġhar bharā huā
hāsil hai jis ko 'arsh' fazāoñ meñ iḳhtiyār
vo dil ke saath khel rahā hai to kyā huā