shikast khā ke bhī kab hausle haiñ kam mere
mire kaTe hue hāthoñ meñ haiñ alam mere
panāh-gāh mujhe bhī to saur jaisī de
mirī talāsh meñ dushman haiñ tāza-dam mere
tujhe maiñ kaise batā.ūñ kahāñ se kaisā huuñ
ulajh rahe haiñ ba-dastūr pech-o-ḳham mere
kis āsmān kī vus.at talāsh karte hue
zamīñ se duur nikal aa.e haiñ qadam mere
tū ye savāl bhī ab dajla o furāt se pūchh
maiñ kyā batā.ūñ kahāñ luT ga.e haram mere
jamī rahī hai chaTānoñ pe barf sadiyoñ tak
to jā ke phir kahīñ patthar hue haiñ nam mere