Meer Naqi Ali Khan Saqib

charagh-e-dard kabhi yun bujhe bujhe to na the

Meer Naqi Ali Khan Saqib

charāġh-e-dard kabhī yuuñ bujhe bujhe to na the
ham apne aap se itne khiñche khiñche to na the
fusūn-e-chashma-e-sail-e-ravāñ kī umr-e-darāz
un āñsuoñ meñ samundar ruke ruke to na the
shab-e-firāq un āñkhoñ meñ kaT ga.ī hogī
mile vo kal bhī the lekin thake thake to na the
vo saañs letī huī tishnagī vo nahr-e-furāt
laboñ pe pyaas ke dariyā thame thame to na the
vo aañkh ab bhī samajhtī hai ajnabī ham ko
magar ham ahl-e-nazar yuuñ na.e na.e to na the
Top Urdushayar.com