Meer Naqi Ali Khan Saqib

baDhti jati hai KHayalon ki thakan aaKHir-e-shab

Meer Naqi Ali Khan Saqib

baḌhtī jaatī hai ḳhayāloñ kī thakan āḳhir-e-shab
TūTne lagte haiñ yādoñ ke badan āḳhir-e-shab
saarī duniyā hai siyāhī ke samundar kī tarah
chhīn lī vaqt ne ek ek kiran āḳhir-e-shab
raushnī ban ke dabe paañv chalā aatā hai
un darīchoñ se tirā sāñvalā-pan āḳhir-e-shab
thak ke baiThī hai kahīñ duur musāfir kī tarah
mere ḳhvāboñ se mirī sub.h-e-chaman āḳhir-e-shab
har bun-e-mū se chhalakne lagī yādoñ kī sharāb
aur gulnār huā terā badan āḳhir-e-shab
ek ik ḳhvāb yahīñ dafn huā hai 'sāqib'
dekhnā sog meñ hai arz-e-dakan āḳhir-e-shab
Top Urdushayar.com