manzil na koī moḌ na rastā dikhā.ī de
aalam tamām dhuñd meñ lipTā dikhā.ī de
qātil dikhā.ī de na masīhā dikhā.ī de
har shaḳhs ik fareb-e-tamāshā dikhā.ī de
vaise to zindagī hai ujāloñ kā shahr bhī
dekho to maqbaroñ kā añdherā dikhā.ī de
jā.ūñ udhar to ek samundar hai be-karāñ
dekho idhar to pyaas kā sahrā dikhā.ī de
rañgīn hai qatl-e-gul se abhī dāman-e-bahār
dast-e-havas se ḳhuun Tapaktā dikhā.ī de
tahtush-shu.ūr meñ hai jo ik lamha-e-ḳhyāl
lafzoñ kī sīḌhiyoñ se utartā dikhā.ī de
suntā huuñ sā.atoñ meñ nigār-e-sahar kī chaap
manzar naqāb-e-shām ulaTtā dikhā.ī de
DhūñDo kisī hasīn ḳharābe meñ zindagī
ye dil to sādhūoñ kā baserā dikhā.ī de
arz-e-dakan meñ baat chalī hai kuchh is tarah
'sāqib' dayār-e-sher meñ tanhā dikhā.ī de