Meer Naqi Ali Khan Saqib

juda hai dard ka mafhum lafz-e-KHwab ke sath

Meer Naqi Ali Khan Saqib

judā hai dard kā mafhūm lafz-e-ḳhvāb ke saath
shu.ūr-e-zāt nikhartā hai inqalāb ke saath
nazar uThā ke to dekho ufuq ke chehre par
mirī ġhazal kā taqaddus hai āftāb ke saath
azal se dasht-o-bayābāñ meñ ghūmtī hai hayāt
kabhī naqāb se haT kar kabhī naqāb ke saath
shafaq hai yā tirī āñkhoñ kī mauj-e-be-ḳhvābī
jo ghul rahī hai har ik qatra-e-sharāb ke saath
guzār dī haiñ ka.ī intizār kī shāmeñ
kuchh iztirāb kī ḳhātir kuchh iztirāb ke saath
mire vajūd kī tanhā.iyoñ ke ziine se
utar rahā hai sambhal kar koī hijāb ke saath
rivāyatoñ ke davāvīn dekhne vaalo
na.e mizāj kā chehra paḌho kitāb ke saath
Top Urdushayar.com