Meer Naqi Ali Khan Saqib

sahar anjaan si maghmum sa KHwab-e-wafa kyun hai

Meer Naqi Ali Khan Saqib

sahar anjān sī maġhmūm sā ḳhvāb-e-vafā kyuuñ hai
na jaane qurbatoñ ke naam se ye fāsla kyuuñ hai
añdhere zahr barsāne lage haiñ zindagānī par
kisī ke pyaar kā mahtāb aise meñ ḳhafā kyuuñ hai
zarā jab raat Dhaltī hai to ḳhvāboñ ke jharoke se
hasīñ mānūs shakloñ kā saverā jhāñktā kyuuñ hai
bahār aa.ī fazā mahkī ḳhushī ne haath phailā.e
to phir ye zindagī āvāra-e-dasht-e-vafā kyuuñ hai
shab-e-ġham kaT ga.ī lekin ujāloñ se gale mil kar
sahar kī aarzū itnī sahar nā-āshnā kyuuñ hai
mire anfās se aatī hai ḳhushbū-e-sahar kaisī
sukūt-e-bām-o-dar meñ aaj terī hī sadā kyuuñ hai
koī dil se nahīñ guzrā to 'sāqib' kaun batlā.e
kisī pāzeb kī jhankār se dil gūñjtā kyuuñ hai
Top Urdushayar.com