ye sāneha thā mulāqāt aur baaqī hai
Thahar bhī jaao ki kuchh raat aur baaqī hai
fasāna-e-shab-e-hastī to kah chuke lekin
ye rañj hai ki koī baat aur baaqī hai
isī umiid meñ lau de rahī hai sham-e-hayāt
sulag bhī jaa.e to barsāt aur baaqī hai
fanā ke naam pe labbaik kah chuke varna
vajūd-e-kashmakash-e-zāt aur baaqī hai
tū mujh ko bhuul bhī jā ye magar ḳhayāl rahe
ki kuchh dinoñ to tirā saat aur baaqī hai