koī khiḌkī jo khulī rahtī hai
sāmne shakl vahī rahtī hai
mere hoñToñ pe hañsī rahtī hai
aag phūloñ meñ dabī rahtī hai
jaise har chiiz pighal jā.egī
dhuup yuuñ sar pe khaḌī rahtī hai
ab to ḳhvāboñ ke bhī ā.īne meñ
vaqt kī dhuul jamī rahtī hai
merī tanhā.ī ke darvāze par
jaane kyuuñ bhiiḌ lagī rahtī hai
kitnī qātil hai ye duniyā lekin
kitnī ma.asūm banī rahtī hai
tez-rau vaqt se aage 'sāqib'
merī shorīda-sarī rahtī hai